kis ki basti hai kaun basta hai
kis kī bastī hai kaun bastā hai
karbalā jis ke ghar kā rasta hai
faiz-e-bārāñ se hai tabassum-e-gul
jab maiñ rotā huuñ yaar hañstā hai
saaqī is daur meñ rahūñ maḳhmūr
jaam de jām-e-dil tarastā hai
sañg kā'ba ke qīmtī haiñ kyā
faḳhr ye hai ki yaar bastā hai
'ishq meñ 'ishq' ye huā hāsil
abr-e-mizhgāñ se ḳhuuñ barastā hai
kis ki basti hai kaun basta hai
karbala jis ke ghar ka rasta hai
faiz-e-baran se hai tabassum-e-gul
jab main rota hun yar hansta hai
saqi is daur mein rahun maKHmur
jam de jam-e-dil tarasta hai
sang ka'ba ke qimti hain kya
faKHr ye hai ki yar basta hai
'ishq mein 'ishq' ye hua hasil
abr-e-mizhgan se KHun barasta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.