ba chashm-e-dil didar kun dil mein tere dildar hai
ba chashm-e-dil didar kun dil mein tere dildar hai
Kishan Singh Arif
MORE BYKishan Singh Arif
bā chashm-e-dil dīdār kun dil meñ tere dildār hai
az daana paidā mī-shavad kyā barg kyā gul-o-ḳhār hai
dar bahr-o-bar hargiz majo ai be-ḳhabar us yaar ko
in kunto kanzan maḳhfiyan kahtā tujhe sattār hai
dar ḳhud ḳhudā rā dīda-am zevar meñ zar ko pā liyā
dar ḳhud-sarī uftādae lohā jo hai talvār hai
ze-nahnu-aqrab dostāñ nazdīk-e-shah-rag pāoge
āñ-ki yaabī nafs-e-ḳhud irfāñ meñ aur kyā baar hai
az fikr-e-duniyā rasta-am jab dīn-e-haq kī chaah lagī
dastam bahar kirdār shud dil meñ vahī dildār hai
iiñ hama maulāst ai dil aur digar faanī samajh
dar tanābe vahm gashta kis ne dekhā maar hai
'ārifā' bā-ma.arifat chāhe jo tū vo kaam kar
'kishn-siñgh' parhez sāzad mard jo bīmār hai
ba chashm-e-dil didar kun dil mein tere dildar hai
az dana paida mi-shawad kya barg kya gul-o-KHar hai
dar bahr-o-bar hargiz majo ai be-KHabar us yar ko
in kunto kanzan maKHfiyan kahta tujhe sattar hai
dar KHud KHuda ra dida-am zewar mein zar ko pa liya
dar KHud-sari uftadae loha jo hai talwar hai
ze-nahnu-aqrab dostan nazdik-e-shah-rag paoge
aan-ki yabi nafs-e-KHud irfan mein aur kya bar hai
az fikr-e-duniya rasta-am jab din-e-haq ki chah lagi
dastam bahar kirdar shud dil mein wahi dildar hai
in hama maulast ai dil aur digar fani samajh
dar tanabe wahm gashta kis ne dekha mar hai
'arifa' ba-marifat chahe jo tu wo kaam kar
'kishn-singh' parhez sazad mard jo bimar hai
- Book : Diwan-e-Arif (Pg. 116)
- Author : Kishan Singh Arif
- Publication : Chashma-e-Noor Press, Amritsar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.