koī kis tarah tum se sar-bar ho
koī kis tarah tum se sar-bar ho
saḳht be-rahm ho sitamgar ho
uTh gayā ham se go mukaddar ho
ḳhush rahe vo jahāñ ho jīdhar ho
tevrī chaḌh rahī hai ye bhauñ par
kyā hai kyuuñ kis liye mukaddar ho
kyā shitābī hī aise jā.egā
ḳhushk to ho araq abhī tar ho
jaan khaa.ī hai nāseho ne mirī
sāmne in ke to Tuk aa kar ho
liije hāzir hai chiiz kyā hai dil
ġhussa is vāste jo mujh par ho
yaad meñ us kī ghar se niklā huuñ
saḳht be-iḳhtiyār-o-muztar ho
us se 'bedār' baat to ma.alūm
dekhnā bhī kahīñ mayassar ho
koī kis tarah tum se sar-bar ho
saḳht be-rahm ho sitamgar ho
uTh gayā hum se go mukaddar ho
ḳhush rahe wo jahāñ ho jīdhar ho
tewrī chaḌh rahī hai ye bhauñ par
kyā hai kyuñ kis liye mukaddar ho
kyā shitābī hī aise jāegā
ḳhushk to ho araq abhī tar ho
jaan khaī hai nāseho ne mirī
sāmne in ke to Tuk aa kar ho
lije hāzir hai chiz kyā hai dil
ġhussa is wāste jo mujh par ho
yaad meñ us kī ghar se niklā huñ
saḳht be-iḳhtiyār-o-muztar ho
us se 'bedār' baat to malūm
dekhnā bhī kahīñ mayassar ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.