koi kisi ka kahin aashna nahin dekha
koī kisī kā kahīñ āshnā nahīñ dekhā
sivā.e us ke in āñkhoñ ne kyā nahīñ dekhā
ye log man.a jo karte haiñ ishq se mujh ko
inhoñne yaar ko dekhā hai yā nahīñ dekhā
bhalā.ī kyā dil-e-kāfir ne but meñ paa.ī hai
jahāñ meñ koī itnā burā nahīñ dekhā
kuchh us jahāñ meñ na dekheñge kyūñki andhe haiñ
isī jahāñ meñ jinhoñ ne ḳhudā nahīñ dekhā
ba-rañg-e-sāya-o-ḳhurshīd ai 'bayāñ' maiñ ne
kabhū raqīb se us ko judā nahīñ dekhā
koi kisi ka kahin aashna nahin dekha
siwae us ke in aankhon ne kya nahin dekha
ye log mana jo karte hain ishq se mujh ko
inhonne yar ko dekha hai ya nahin dekha
bhalai kya dil-e-kafir ne but mein pai hai
jahan mein koi itna bura nahin dekha
kuchh us jahan mein na dekhenge kyunki andhe hain
isi jahan mein jinhon ne KHuda nahin dekha
ba-rang-e-saya-o-ḳhurshid ai 'bayan' main ne
kabhu raqib se us ko juda nahin dekha
- Book : Diwan-e-Bayan Edited: Arjumand Ara (Pg. 83)
- Author : Ahsanullaah Khan Bayan
- Publication : Anjumat Taraqqi Urdu (Hind) New Delhi (2004)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.