koi kya samjhe ki kya karta hai ishq
koī kyā samjhe ki kyā kartā hai ishq
har dam ik fitna bapā kartā hai ishq
hastī-e-vahmī ko kar detā hai niist
rāzdār-e-kibriyā kartā hai ishq
bas vahī paatā hai aish-e-zindagī
jis ko ġham meñ mubtalā kartā hai ishq
ḳhasta kar detā hai dil ko dard se
ḳhuuñ pilā kar phir davā kartā hai ishq
hai zuhūr-e-ishq jo kuchh hai 'azīz'
dam-ba-dam kyā kuchh bapā kartā hai ishq
koi kya samjhe ki kya karta hai ishq
har dam ek fitna bapa karta hai ishq
hasti-e-wahmi ko kar deta hai nist
raazdar-e-kibriya karta hai ishq
bas wahi pata hai aish-e-zindagi
jis ko gham mein mubtala karta hai ishq
KHasta kar deta hai dil ko dard se
KHun pila kar phir dawa karta hai ishq
hai zuhur-e-ishq jo kuchh hai 'aziz'
dam-ba-dam kya kuchh bapa karta hai ishq
- Book : Irfan-e-Azeez Intikhab-e-Kalam-e-Urdu (Pg. 29)
- Author : Azeez Safipuri
- Publication : Urdu Department, Aligarh Muslim University (1946)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.