Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kuchh lagi dil ki bujha lun to chale jaiyega

Bedam Shah Warsi

kuchh lagi dil ki bujha lun to chale jaiyega

Bedam Shah Warsi

MORE BYBedam Shah Warsi

    kuchh lagī dil bujhā luuñ to chale jā.iyegā

    ḳhair siine se lagā luuñ to chale jā.iyegā

    maiñ za-ḳhud rafta huā sunte jaane ḳhabar

    pahle maiñ aap meñ aa luuñ to chale jā.iyegā

    rāsta ghere haiñ armān-o-qalaq hasrat-o-yās

    maiñ zarā bhiiḌ haTā luuñ to chale jā.iyegā

    pyaar kar luuñ ruḳh-e-raushan balā.eñ le luuñ

    qadam āñkhoñ se lagā luuñ to chale jā.iyegā

    mere hone ne ye roz-e-siyah dikhlāyā

    apnī hastī ko miTā luuñ to chale jā.iyegā

    chhoḌ kar zinda mujhe aap kahāñ jā.eñge

    pahle maiñ jaan se luuñ to chale jā.iyegā

    aap ke jaate 'bedam' sunegā phir kaun

    apnī biitī maiñ sunā luuñ to chale jā.iyegā

    kuchh lagi dil ki bujha lun to chale jaiyega

    KHair sine se laga lun to chale jaiyega

    main za-KHud rafta hua sunte hi jaane ki KHabar

    pahle main aap mein aa lun to chale jaiyega

    rasta ghere hain arman-o-qalaq hasrat-o-yas

    main zara bhiD haTa lun to chale jaiyega

    pyar kar lun ruKH-e-raushan ki balaen le lun

    qadam aankhon se laga lun to chale jaiyega

    mere hone hi ne ye roz-e-siyah dikhlaya

    apni hasti ko miTa lun to chale jaiyega

    chhoD kar zinda mujhe aap kahan jaenge

    pahle main jaan se ja lun to chale jaiyega

    aap ke jate hi 'bedam' ki sunega phir kaun

    apni biti main suna lun to chale jaiyega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now