kya kaha tu ne saba kah tu chaman mein kyun aaj
kyā kahā tū ne sabā kah tū chaman meñ kyuuñ aaj
ġhunche ko tañg-dilī gul ko pareshānī hai
terī hī āñkhoñ meñ ham ḳhaar haiñ zāhid varna
bazm-e-rindāñ meñ mirī ḳhuub qadr-dānī hai
haath se ishq ke bachne kī to ummīd nahīñ
siina afgār hai dil ḳhuuñ hai jigar paanī hai
'āshnā' dīda-o-dānista diyā tū ne dil
ab shikāyat sitam-e-yār se nā-dānī hai
kya kaha tu ne saba kah tu chaman mein kyun aaj
ghunche ko tang-dili gul ko pareshani hai
teri hi aankhon mein hum KHar hain zahid warna
bazm-e-rindan mein meri KHub qadr-dani hai
hath se ishq ke bachne ki to ummid nahin
sina afgar hai dil KHun hai jigar pani hai
'ashna' dida-o-danista diya tu ne dil
ab shikayat sitam-e-yar se na-dani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.