kya na dekha ye kaho ye na kaho kya dekha
kyā na dekhā ye kaho ye na kaho kyā dekhā
ham ne jo kuchh bhī kisī bazm meñ dekhā dekhā
dekhne ko sar-e-mahfil ruḳh-e-zebā dekhā
ham ko jo kuchh tirī āñkhoñ ne dikhāyā dekhā
vo bahāreñ ke tire saath mujhe dekh ga.iiñ
kyā kaheñgī agar aakar mujhe tanhā dekhā
husn-e-ḳhud-bīñ ko hai kyā ishq-e-kHudā-bīñ se gurez
merī āñkhoñ se bhī apnā ruḳh-e-zebā dekhā
sab se mil kar bhī kam-āmez hai tamkīn-e-jamāl
tujh ko dekhā to bharī bazm meñ tanhā dekhā
nukta-chīñ dīda-e-zāhir hai mirī āñkhoñ par
ham ne ā.īna na dekhā ruḳh-e-zebā dekhā
chāñdnī chāñd sī sūrat kī ghanī zulf kī chhāñv
phir añdherā nazar aayā na ujālā dekhā
us ko apnā koī samjhā hai na samjhegā 'zahīn'
jis ko be-gānagī-e-hosh meñ apnā dekhā
kya na dekha ye kaho ye na kaho kya dekha
hum ne jo kuchh bhi kisi bazm mein dekha dekha
dekhne ko sar-e-mahfil ruKH-e-zeba dekha
hum ko jo kuchh teri aankhon ne dikhaya dekha
wo bahaaren ke tere sath mujhe dekh gain
kya kahengi agar aakar mujhe tanha dekha
husn-e-KHud-bin ko hai kya ishq-e-kHuda-bin se gurez
meri aankhon se bhi apna ruKH-e-zeba dekha
sab se mil kar bhi kam-amez hai tamkin-e-jamal
tujh ko dekha to bhari bazm mein tanha dekha
nukta-chin dida-e-zahir hai meri aankhon par
hum ne aaina na dekha ruKH-e-zeba dekha
chandni chand si surat ki ghani zulf ki chhanw
phir andhera nazar aaya na ujala dekha
us ko apna koi samjha hai na samjhega 'zahin'
jis ko be-ganagi-e-hosh mein apna dekha
- Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 36)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.