Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kya puchhte ho mujhse ki kyun tu ne ro diya

Khwaja Ruknuddin Ishq

kya puchhte ho mujhse ki kyun tu ne ro diya

Khwaja Ruknuddin Ishq

MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq

    kyā pūchhte ho mujh se ki kyuuñ ne ro diyā

    dil ne kiyā thā jam.a so āñkhoñ ne kho diyā

    dil ko agarche daaġh diyā jigar ko zaḳhm

    maiñ ne ba-jāñ qubūl kiyā us ne jo diyā

    thā ḳhāndān-e-chashm raushan jahāñ ke biich

    ai tifl-e-ashk ne ye ghar Dubo diyā

    aage miyāñ nasīb hai sarsabz ho na ho

    dil zamīñ meñ tuḳhm-e-mohabbat to bo diyā

    dil aur jaan dene meñ taqsīr kuchh na

    'ishq' us ne jo talab kiyā nā-chār so diyā

    kya puchhte ho mujh se ki kyun tu ne ro diya

    dil ne kiya tha jama so aankhon ne kho diya

    dil ko agarche dagh diya ya jigar ko zaKHm

    main ne ba-jaan qubul kiya us ne jo diya

    tha KHandan-e-chashm tu raushan jahan ke bich

    ai tifl-e-ashk tu ne ye ghar hi Dubo diya

    aage miyan nasib hai sarsabz ho na ho

    dil ki zamin mein tuKHm-e-mohabbat to bo diya

    dil aur jaan dene mein taqsir kuchh na ki

    'ishq' us ne jo talab kiya na-chaar so diya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now