likha tawiz kis ne aah is dil ki udasi ka
likha tawiz kis ne aah is dil ki udasi ka
Shah Turab Ali Qalandar
MORE BYShah Turab Ali Qalandar
likhā ta.avīz kis ne aah is dil kī udāsī kā
paḌhā hai kis ne afsūñ haa.e merī be-havāsī kā
zarā bhī abr-e-naisāñ jab talak paanī na barsā.e
kare muñh band dariyā kis tarah siipī pyāsī kā
zabāñ us kī huī hai guñg jis ne is ko pahchānā
vo aarif hī nahīñ da.ava kare jo haq-shanāsī kā
adā-e-shukr-e-ne.amat hai ḳhudā kī bandagī karnā
ḳhilāf-e-marzī-e-muhsin-nishāñ hai nā-sipāsī kā
na hotī gar madad pīroñ kī parda saaf khul jaatā
'turāb' aise ḳharāb ahvāl davesh-e-libāsī kā
likha tawiz kis ne aah is dil ki udasi ka
paDha hai kis ne afsun hae meri be-hawasi ka
zara bhi abr-e-naisan jab talak pani na barsae
kare munh band dariya kis tarah sipi pyasi ka
zaban us ki hui hai gung jis ne is ko pahchana
wo aarif hi nahin dawa kare jo haq-shanasi ka
ada-e-shukr-e-neamat hai KHuda ki bandagi karna
KHilaf-e-marzi-e-muhsin-nishan hai na-sipasi ka
na hoti gar madad piron ki parda saf khul jata
'turab' aise KHarab ahwal dawesh-e-libasi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.