madrasa yā dair thā yā kaba yā but-ḳhāna thā
madrasa yā dair thā yā ka.aba yā but-ḳhāna thā
ham sabhī mehmān the vaañ tū hī sāhab-ḳhāna thā
vaa.e nādānī ki vaqt-e-marg ye sābit huā
ḳhvāb thā jo kuchh ki dekhā jo sunā afsāna thā
haif! kahte haiñ huā gulzār tārāj-e-ḳhizāñ
āshnā apnā bhī vaañ ik sabza-e-begāna thā
ho gayā mehmāñ-sarā-e-kasrat-e-mauhūm aah
vo dil-e-ḳhālī ki terā ḳhaas ḳhalvat-ḳhāna thā
bhuul jā ḳhush rah abas ve sābiaqe mat yaad kar
'dard'! ye mazkūr kyā hai āshnā thā yā na thā
madrasa yā dair thā yā kaba yā but-ḳhāna thā
hum sabhī mehmān the wañ tū hī sāhab-ḳhāna thā
wae nādānī ki waqt-e-marg ye sābit huā
ḳhwāb thā jo kuchh ki dekhā jo sunā afsāna thā
haif! kahte haiñ huā gulzār tārāj-e-ḳhizāñ
āshnā apnā bhī wañ ek sabza-e-begāna thā
ho gayā mehmāñ-sarā-e-kasrat-e-mauhūm aah
wo dil-e-ḳhālī ki terā ḳhas ḳhalwat-ḳhāna thā
bhul jā ḳhush rah abas we sābiaqe mat yaad kar
'dard'! ye mazkūr kyā hai āshnā thā yā na thā
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.