zara ai dida-e-tar abr-e-gauhar-bar ho jaana
zarā ai dīda-e-tar abr-e-gauhar-bār ho jaanā
ki dil ke josh kā ab chāhiye iz.hār ho jaanā
kahīñ ġhash khā na jaanā mūsā-e-imrān kī sūrat
vo jalva dekh kar achchhī tarah hushiyār ho jaanā
na karnā chheḌ-chhāḌ aslan kisī se abrū-e-qātil
munāsib kab hai hardam barsar-e-paikār ho jaanā
jo chāho ma.arifat 'maftūñ' to rāh-e-rāstī DhūñDo
kisī murshid ke pero tum bhī haañ ai yaar ho jaanā
zara ai dida-e-tar abr-e-gauhar-bar ho jaana
ki dil ke josh ka ab chahiye izhaar ho jaana
kahin ghash kha na jaana musa-e-imran ki surat
wo jalwa dekh kar achchhi tarah hushiyar ho jaana
na karna chheD-chhaD aslan kisi se abru-e-qatil
munasib kab hai hardam barsar-e-paikar ho jaana
jo chaho marifat 'maftun' to rah-e-rasti DhunDo
kisi murshid ke pero tum bhi han ai yar ho jaana
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XII (Pg. 304)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.