mahfil-e-ishq meñ jab nam tirā lete haiñ
mahfil-e-ishq meñ jab naam tirā lete haiñ
pahle ham hosh ko dīvāna banā lete haiñ
roz ik dard tamannā se nayā lete haiñ
ham yūñhī zindagī-e-ishq baḌhā lete haiñ
dekhte rahte haiñ chhup-chhup ke muraqqa.a terā
kabhī aatī hai havā bhī to chhupā lete haiñ
rañg bharte haiñ vafā kā jo tasavvur meñ tire
tujh se achchhī tirī tasvīr banā lete haiñ
de hī dete haiñ kisī tarah tasallī 'sīmāb'
ḳhush raheñ vo jo mire dil kī duā lete haiñ
mahfil-e-ishq meñ jab nam tirā lete haiñ
pahle hum hosh ko dīwāna banā lete haiñ
roz ek dard tamannā se nayā lete haiñ
hum yūñhī zindagī-e-ishq baḌhā lete haiñ
dekhte rahte haiñ chhup-chhup ke muraqqa terā
kabhī aatī hai hawā bhī to chhupā lete haiñ
rañg bharte haiñ wafā kā jo tasawwur meñ tere
tujh se achchhī tirī taswīr banā lete haiñ
de hī dete haiñ kisī tarah tasallī 'sīmāb'
ḳhush raheñ wo jo mere dil kī duā lete haiñ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.