mahfil ka ye andaz kahan wo hain kahan main
mahfil ka ye andaz kahan wo hain kahan main
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
mahfil kā ye andāz kahāñ vo haiñ kahāñ maiñ
duniyā ko ḳhabar hogī jo kholūñgā zabāñ maiñ
chāho to ham-āhañg karūñ dil se zabāñ maiñ
kuchh arz karūñ jaan kī pā.ūñ jo amaañ maiñ
hālāt-e-ġham-e-ishq nahīñ zikr ke qābil
sunte haiñ agar aap to karatā huuñ bayāñ maiñ
zarre ko bhī ḳhurshed se nisbat sahī phir bhī
sach baat magar ye hai kahāñ aap kahāñ maiñ
bhūle se bhī añgḌā.ī ab aatī nahīñ mujh ko
ai chashm-e-zamāna kabhī hotā thā javāñ maiñ
suntā huuñ baḌī der se saaqī kī burā.ī
ab khīñchūñgā vaa.iz tirī gaddī se zabāñ maiñ
saa.e kī tarah saath nazar ā.ūñgā sarkār
jaanā hai kahāñ mujh ko jahāñ aap vahāñ maiñ
ab ḳhud hī 'nasīr' uTh ke chalā jā.ūñ to achchhā
is anjuman-e-nāz meñ huuñ bār-e-garāñ maiñ
mahfil ka ye andaz kahan wo hain kahan main
duniya ko KHabar hogi jo kholunga zaban main
chaho to ham-ahang karun dil se zaban main
kuchh arz karun jaan ki paun jo aman main
haalat-e-gham-e-ishq nahin zikr ke qabil
sunte hain agar aap to karata hun bayan main
zarre ko bhi KHurshed se nisbat sahi phir bhi
sach baat magar ye hai kahan aap kahan main
bhule se bhi angDai ab aati nahin mujh ko
ai chashm-e-zamana kabhi hota tha jawan main
sunta hun baDi der se saqi ki burai
ab khinchunga waiz teri gaddi se zaban main
sae ki tarah sath nazar aaunga sarkar
jaana hai kahan mujh ko jahan aap wahan main
ab KHud hi 'nasir' uTh ke chala jaun to achchha
is anjuman-e-naz mein hun bar-e-garan main
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 897)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.