lab-e-KHamosh ka bayan hun main
lab-e-ḳhāmosh kā bayāñ huuñ maiñ
kanz-e-maḳhfī hai vo ayaañ huuñ maiñ
mere andar lahūluhān hai haq
koī karbal sī dāstāñ huuñ maiñ
pūchh mujh se jo pūchhnā hai tujhe
sirr-e-maḳhfī kā rāz-dāñ huuñ maiñ
tūr-e-dil jal gayā merā a.alam
ik tajallī kī dāstāñ huuñ maiñ
lab-e-KHamosh ka bayan hun main
kanz-e-maKHfi hai wo ayan hun main
mere andar lahuluhan hai haq
koi karbal si dastan hun main
puchh mujh se jo puchhna hai tujhe
sirr-e-maKHfi ka raaz-dan hun main
tur-e-dil jal gaya mera aalam
ek tajalli ki dastan hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.