chashm-e-mastan se hai guman kuchh aur

chashm-e-mastan se hai guman kuchh aur
Mahmood Shah Naqshbandi
MORE BYMahmood Shah Naqshbandi
chashm-e-mastāñ se hai gumāñ kuchh aur
zulf-e-pechāñ se hai gumāñ kuchh aur
baat karnā bhī yaar se mushkil
lab-e-jumbāñ se hai gumāñ kuchh aur
ek hujra meñ gar haiñ bāham do
ham-nashīnāñ se hai gumāñ kuchh aur
maiñ ne samjhā thā jaama tan ye hijāb
vasl-e-'uryāñ se hai gumāñ kuchh aur
dil-e-āhū na daam meñ band ho
in ġhazālāñ se hai gumāñ kuchh aur
chashm-e-'āshiq kā qatra durr-e-yatīm
abr-e-naisāñ se hai gumāñ kuchh aur
sar se pā tak barahna huuñ pur-'aib
'aib-e-poshāñ se hai gumāñ kuchh aur
nafs-e-ammāra mutma.inna hai ye
nek-bakHtiyāñ se hai gumāñ kuchh aur
mere yūsuf tū siina se lag jā
ḳhāksārāñ se hai gumāñ kuchh aur
ek bosa kā huuñ tere ḳhvāhāñ
bas raqībāñ se hai gumāñ kuchh aur
shab-e-pur-kor kī haiñ āñkheñ band
mehr-e-tābāñ se hai gumāñ kuchh aur
zarf jaisā hai rañg vaisā hai
'aam ḳhāsāñ se hai gumāñ kuchh aur
vaqt-e-tauba hai phir na āvegā
shān-e-shāhāñ se hai gumāñ kuchh aur
maiñ ne samjhā thā bo'd ’ain-o-qurb
shāh-e-jīlāñ se hai gumāñ kuchh aur
misl ġhuncha ke ho gayā ḳhāmosh
gul-e-ḳhandāñ se hai gumāñ kuchh aur
rahnumā rahbar haiñ miskīñ shaah
hāl-e-rindāñ se hai gumāñ kuchh aur
husn-e-zan aaj hai terā 'mahmūd'
jān-e-jānāñ se hai gumāñ kuchh aur
chashm-e-mastan se hai guman kuchh aur
zulf-e-pechan se hai guman kuchh aur
baat karna bhi yar se mushkil
lab-e-jumban se hai guman kuchh aur
ek hujra mein gar hain baham do
ham-nashinan se hai guman kuchh aur
main ne samjha tha jama tan ye hijab
wasl-e-'uryan se hai guman kuchh aur
dil-e-ahu na dam mein band ho
in ghazalan se hai guman kuchh aur
chashm-e-'ashiq ka qatra durr-e-yatim
abr-e-naisan se hai guman kuchh aur
sar se pa tak barahna hun pur-'aib
'aib-e-poshan se hai guman kuchh aur
nafs-e-ammara mutmainna hai ye
nek-bakHtiyan se hai guman kuchh aur
mere yusuf tu sina se lag ja
KHaksaran se hai guman kuchh aur
ek bosa ka hun tere KHwahan
bas raqiban se hai guman kuchh aur
shab-e-pur-kor ki hain aankhen band
mehr-e-taban se hai guman kuchh aur
zarf jaisa hai rang waisa hai
'am KHasan se hai guman kuchh aur
waqt-e-tauba hai phir na aawega
shan-e-shahan se hai guman kuchh aur
main ne samjha tha bo'd ’ain-o-qurb
shah-e-jilan se hai guman kuchh aur
misl ghuncha ke ho gaya KHamosh
gul-e-KHandan se hai guman kuchh aur
rahnuma rahbar hain miskin shah
haal-e-rindan se hai guman kuchh aur
husn-e-zan aaj hai tera 'mahmud'
jaan-e-jaanan se hai guman kuchh aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.