Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

mahw-e-ruḳh-e-yār ho gae hum

Meer Muhammad Bedar

mahw-e-ruḳh-e-yār ho gae hum

Meer Muhammad Bedar

MORE BYMeer Muhammad Bedar

    mahv-e-ruḳh-e-yār ho ga.e ham

    so se nisār ho ga.e ham

    fitrāk se bāñdh ḳhvāh mat bāñdh

    ab tere shikār ho ga.e ham

    dāman ko na pahuñche tere ab tak

    har chand ġhubār ho ga.e ham

    aatā nahīñ koī ab nazar meñ

    kis se ye do-chār ho ga.e ham

    thā kaun ki dekhte jis ke

    yuuñ āshiq-e-zār ho ga.e ham

    hastī hijāb thī jo dekhā

    is bahar se paar ho ga.e ham

    'bedār' sarishk-e-lāla-gūñ se

    ham-chashm-e-bahār ho ga.e ham

    mahw-e-ruḳh-e-yār ho gae hum

    so se nisār ho gae hum

    fitrāk se bāñdh ḳhwāh mat bāñdh

    ab tere shikār ho gae hum

    dāman ko na pahuñche tere ab tak

    har chand ġhubār ho gae hum

    aatā nahīñ koī ab nazar meñ

    kis se ye do-chār ho gae hum

    thā kaun ki dekhte jis ke

    yuñ āshiq-e-zār ho gae hum

    hastī hijāb thī jo dekhā

    is bahar se par ho gae hum

    'bedār' sarishk-e-lāla-gūñ se

    ham-chashm-e-bahār ho gae hum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now