Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

mai-e-wahdat se o saqi labaalab ek saghar de

Shah Turab Ali Qalandar

mai-e-wahdat se o saqi labaalab ek saghar de

Shah Turab Ali Qalandar

mai-e-vahdat se o saaqī labālab ek sāġhar de

maiñ banda terā ho jā.ūñ matvālā mujhe kar de

pilā saaqī mujhe vo mai jo zauq-e-be-ḳhudī baḳhshe

rag-o-reshe meñ mere kaifiyat mansūr bhar de

shaiḳh-e-jām kar mujh ko qasam hai pīr-e-muġh tujh ko

saqqā ham rabbahum paḌh ke sharāb aage mire dhar de

malāmat ishq-bāzī uThā.e kaun sheḳhī meñ

'turāb' is kaam to hai ki har kāre-o-har marde

mai-e-wahdat se o saqi labaalab ek saghar de

main banda tera ho jaun tu matwala mujhe kar de

pila saqi mujhe wo mai jo zauq-e-be-KHudi baKHshe

rag-o-reshe mein mere kaifiyat mansur ki bhar de

tu shaiKH-e-jam kar mujh ko qasam hai pir-e-mugh tujh ko

saqqa hum rabbahum paDh ke sharab aage mere dhar de

malamat ishq-bazi ki uThae kaun sheKHi mein

'turab' is kaam ka to hai ki har kare-o-har marde

Source :
  • Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 13)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now