mai-kade meñ jo tere husn kā mazkūr huā
mai-kade meñ jo tire husn kā mazkūr huā
sañg-e-ġhairat se mirā shīsha-e-dil chuur huā
ek to aage hī thā husn par apne nāzāñ
ā.īna dekh ke vo aur bhī maġhrūr huā
sub.h hote hī huā mujh se judā vo mah-rū
roz goyā mire haq meñ shab-e-dījūr huā
teġh mat khīñch ki ek jumbish-e-abrū bas hai
gar mirā qatl hī zālim tujhe manzūr huā
az-pa.e-dāġh-e-dil-e-bāda-parastāñ 'bedār'
pumba-e-shīsha-e-mai marham-e-kāfūr huā
mai-kade meñ jo tere husn kā mazkūr huā
sañg-e-ġhairat se mirā shīsha-e-dil chur huā
ek to aage hī thā husn par apne nāzāñ
āīna dekh ke wo aur bhī maġhrūr huā
subh hote hī huā mujh se judā wo mah-rū
roz goyā mere haq meñ shab-e-dījūr huā
teġh mat khīñch ki ek jumbish-e-abrū bas hai
gar mirā qatl hī zālim tujhe manzūr huā
az-pae-dāġh-e-dil-e-bāda-parastāñ 'bedār'
pumba-e-shīsha-e-mai marham-e-kāfūr huā
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.