chand aahen chand qatre KHun ke
chand aaheñ chand qatre ḳhuun ke
thā ye dil kā kārvān-e-muḳhtasar
sun chuke ho naam se jo qais ke
thī vo merī dāstān-e-muḳhtasar
vus.at-e-dil aur tamannā.eñ tirī
ye hujūm aur āstān-e-muḳhtasar
ishq aur pābandī-e-ādāb-e-hosh
laakh jhagḌe ek jān-e-muḳhtasar
sunte sunte merī farmāne lage
is ko kahte haiñ bayān-e-muḳhtasar
chand aahen chand qatre KHun ke
tha ye dil ka karwan-e-muKHtasar
sun chuke ho nam se jo qais ke
thi wo meri dastan-e-muKHtasar
wusat-e-dil aur tamannaen teri
ye hujum aur aastan-e-muKHtasar
ishq aur pabandi-e-adab-e-hosh
lakh jhagDe ek jaan-e-muKHtasar
sunte sunte meri farmane lage
is ko kahte hain bayan-e-muKHtasar
- Book : Maikada (Pg. 36)
- Author : Maikash Akbarabadi
- Publication : Agra Akhbar, Agra (1931)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.