chale jao uTha lunga musibat roz-e-furqat ki
chale jaao uThā lūñgā musībat roz-e-furqat kī
huī taqsīr ye mujh se jo maiñ ne tum se ulfat kī
salāmat-bāsh! ai lailā-e-dil ai soz-e-be-hāsil
tujhī se yaad taaza hai hamāre ahd-e-vahshat kī
tirā chalnā tirā aanā tirā hañsnā tirī bāteñ
miTā kar mujh ko chhoḌeñgī ye tasvīreñ qayāmat kī
chale jao uTha lunga musibat roz-e-furqat ki
hui taqsir ye mujh se jo main ne tum se ulfat ki
salamat-bash! ai laila-e-dil ai soz-e-be-hasil
tujhi se yaad taza hai hamare ahd-e-wahshat ki
tera chalna tera aana tera hansna teri baaten
miTa kar mujh ko chhoDengi ye taswiren qayamat ki
- Book : Maikada (Pg. 56)
- Author : Maikash Akbarabadi
- Publication : Agra Akhbar, Agra (1931)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.