ye fasana ranj-e-mahfil ke siwa kuchh bhi nahin

ye fasana ranj-e-mahfil ke siwa kuchh bhi nahin
Azmat Hussain Khan
MORE BYAzmat Hussain Khan
ye fasāna rañj-e-mahfil ke sivā kuchh bhī nahīñ
yā'nī ab ḳhākistar dil ke sivā kuchh bhī nahīñ
jāda-e-ulfat kā ye sabr-āzmā 'ālam na pūchh
har qadam par ġham kī manzil ke sivā kuchh bhī nahīñ
un kī ḳhalvat-gāh bhī hai un kī jalvat-gāh bhī
vus'at-e-kaunain meñ dil ke sivā kuchh bhī nahīñ
zarre-zarre meñ haiñ rañgā-rañg bazm-ārā.iyāñ
donoñ 'ālam terī mahfil ke sivā kuchh bhī nahīñ
jalva-e-mutlaq kā partav hai ye saarī kā.ināt
har taraf ik husn-e-kāmil ke sivā kuchh bhī nahīñ
shikva-e-be-chārgī 'mai-kash' kisī se kyā kareñ
'ishq jab mahrūmī-e-dil ke kuchh bhī nahīñ
ye fasana ranj-e-mahfil ke siwa kuchh bhi nahin
ya'ni ab KHakistar dil ke siwa kuchh bhi nahin
jada-e-ulfat ka ye sabr-azma 'alam na puchh
har qadam par gham ki manzil ke siwa kuchh bhi nahin
un ki KHalwat-gah bhi hai un ki jalwat-gah bhi
wus'at-e-kaunain mein dil ke siwa kuchh bhi nahin
zarre-zarre mein hain ranga-rang bazm-araiyan
donon 'alam teri mahfil ke siwa kuchh bhi nahin
jalwa-e-mutlaq ka partaw hai ye sari kainat
har taraf ek husn-e-kaamil ke siwa kuchh bhi nahin
shikwa-e-be-chaargi 'mai-kash' kisi se kya karen
'ishq jab mahrumi-e-dil ke kuchh bhi nahin
- Book : Arsh-e-Mohabbat (Pg. 16)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.