koi surat bhi kargar na hui
koī sūrat bhī kārgar na huī
mere ġham kī unheñ ḳhabar na huī
dil meñ aa.e bhī vo chale bhī ga.e
aur hameñ mutlaqan ḳhabar na huī
milte hī dil meñ ho ga.ī paivast
ik qayāmat huī nazar na huī
nigarāñ ġhair kī rahī duniyā
haa.e afsos ḳhud-nigar na huī
zindagī maut se bhī bad-tar hai
jo tirī yaad meñ basar na huī
TuuT kar dil na ban sakā 'mai-kash'
koī tarkīb kārgar na huī
koi surat bhi kargar na hui
mere gham ki unhen KHabar na hui
dil mein aae bhi wo chale bhi gae
aur hamein mutlaqan KHabar na hui
milte hi dil mein ho gai paiwast
ek qayamat hui nazar na hui
nigaran ghair ki rahi duniya
hae afsos KHud-nigar na hui
zindagi maut se bhi bad-tar hai
jo teri yaad mein basar na hui
TuT kar dil na ban saka 'mai-kash'
koi tarkib kargar na hui
- Book : Arsh-e-Mohabbat (Pg. 19)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.