mere aaDe bhanwar mein rahmat-e-parwardigar aai

mere aaDe bhanwar mein rahmat-e-parwardigar aai
Azmat Hussain Khan
MORE BYAzmat Hussain Khan
mire aaḌe bhañvar meñ rahmat-e-parvardigār aa.ī
mirī kashtī kināre kī taraf be-iḳhtiyār aa.ī
jahāñ pā-e-talab kuchh Dagmagā.e rāh-e-ulfat meñ
vahīñ par dil pukār uTThā vo un kī rah-guzar aa.ī
na.e 'unvān se sab ko kisī kā muntazir paayā
jo chiiz aa.ī zamāne meñ ḳharāb-e-intizār aa.ī
ḳhas-o-ḳhāshāk kā ik ghar thā aur ik nā-tavāñ ham the
nasheman kī taraf kyuuñ barq itnī be-qarār aa.ī
mohabbat ne sukūñ luuTā mohabbat ne sukūñ baḳhshā
mohabbat hī se dil meñ tāqat-e-sabr-o-qarār aa.ī
ġham-e-ulfat ġham-e-furqat ġham-e-duniyā ġham-e-'uqbā
jo baat aa.ī hamārī zindagī meñ yādgār aa.ī
ujaḌ kar dil kī bastī phir na basne paa.ī ai 'mai-kash'
hazāroñ baar gulshan meñ ḳhizāñ aa.ī bahār aa.ī
mere aaDe bhanwar mein rahmat-e-parwardigar aai
meri kashti kinare ki taraf be-iKHtiyar aai
jahan pa-e-talab kuchh Dagmagae rah-e-ulfat mein
wahin par dil pukar uTTha wo un ki rah-guzar aai
nae 'unwan se sab ko kisi ka muntazir paya
jo chiz aai zamane mein KHarab-e-intizar aai
KHas-o-KHashak ka ek ghar tha aur ek na-tawan hum the
nasheman ki taraf kyun barq itni be-qarar aai
mohabbat ne sukun luTa mohabbat ne sukun baKHsha
mohabbat hi se dil mein taqat-e-sabr-o-qarar aai
gham-e-ulfat gham-e-furqat gham-e-duniya gham-e-'uqba
jo baat aai hamari zindagi mein yaadgar aai
ujaD kar dil ki basti phir na basne pai ai 'mai-kash'
hazaron bar gulshan mein KHizan aai bahaar aai
- Book : Arsh-e-Mohabbat (Pg. 55)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.