main bismil ho gaya tegh-e-alam sun
maiñ bismil ho gayā teġh-e-alam suuñ
taḌaptā huuñ maiñ tanhā kī qasam hai
numāyāñ gard huuñ vahshat suuñ har dam
mujhe āhū-e-sahrā kī qasam hai
chaman meñ shorish-e-qumrī huī sard
mujhe us qadd-e-ra.anā kī qasam hai
maiñ guzrā koh-e-qāf-e-āsmāñ suuñ
tan-e-vahshī huuñ anqā kī qasam hai
ye zulf-e-ambarīñ said-e-balā hai
mujhe girdāb-e-dariyā kī qasam hai
tabassum suuñ jilā us murda-dil ko
tujhe ḳhizr-o-masīhā kī qasam hai
main bismil ho gaya tegh-e-alam sun
taDapta hun main tanha ki qasam hai
numayan gard hun wahshat sun har dam
mujhe aahu-e-sahra ki qasam hai
chaman mein shorish-e-qumri hui sard
mujhe us qadd-e-rana ki qasam hai
main guzra koh-e-qaf-e-asman sun
tan-e-wahshi hun anqa ki qasam hai
ye zulf-e-ambarin said-e-bala hai
mujhe girdab-e-dariya ki qasam hai
tabassum sun jila us murda-dil ko
tujhe KHizr-o-masiha ki qasam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.