charagh-e-jahan mein ai gul jo kuchh ki hai so tu hai
charagh-e-jahan mein ai gul jo kuchh ki hai so tu hai
Makhdoom Khadim Safi
MORE BYMakhdoom Khadim Safi
charāġh-e-jahāñ meñ ai gul jo kuchh ki hai so tū hai
shamsād-o-sarv-e-sumbul jo kuchh ki hai so tū hai
kalimāt-e-kufr nūr-e-islām to hai pyāre
rukHsār-o-mū-e-kākul jo kuchh ki hai so tū hai
dil se tā ba-āḳhir sab hai zuhūr terā
gar juzv hai digar kul jo kuchh ki hai so tū hai
un meñ jā ke dekhā terā hī jalva paayā
zāhir meñ hai tirā ġhul jo kuchh ki hai so tū hai
'ḳhādim' ye be-ḳhudī meñ hushiyār kah rahā hai
jām-o-surāhī-o-mul jo kuchh ki hai so tū hai
charagh-e-jahan mein ai gul jo kuchh ki hai so tu hai
shamsad-o-sarw-e-sumbul jo kuchh ki hai so tu hai
kalimat-e-kufr nur-e-islam to hai pyare
rukHsar-o-mu-e-kakul jo kuchh ki hai so tu hai
dil se ta ba-aKHir sab hai zuhur tera
gar juzw hai digar kul jo kuchh ki hai so tu hai
un mein ja ke dekha tera hi jalwa paya
zahir mein hai tera ghul jo kuchh ki hai so tu hai
'KHadim' ye be-KHudi mein hushiyar kah raha hai
jam-o-surahi-o-mul jo kuchh ki hai so tu hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.