kya tere husn ki safai hai
kyā tire husn kī safā.ī hai
chāñdnī muñh pe tere chhā.ī hai
zaat terī nuur hai raushan
jis se zāhir huī ḳhudā.ī hai
kHuub vahdat huī hai naqsh numā
jalva-e-haq kī ye rasā.ī hai
sab se paidā hai 'ain-e-haq kā zuhūr
apne dil meñ to ye samā.ī hai
ḳhauf 'uqbā kā kyā hai 'ḳhādim'
khul ga.ī tujh pe mustafā.ī hai
kya tere husn ki safai hai
chandni munh pe tere chhai hai
zat teri nur hai raushan
jis se zahir hui KHudai hai
kHub wahdat hui hai naqsh numa
jalwa-e-haq ki ye rasai hai
sab se paida hai 'ain-e-haq ka zuhur
apne dil mein to ye samai hai
KHauf 'uqba ka kya hai 'KHadim'
khul gai tujh pe mustafai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.