Sufinama

surat mein mere pyare jo kuchh ki hai so tu hai

Makhdoom Khadim Safi

surat mein mere pyare jo kuchh ki hai so tu hai

Makhdoom Khadim Safi

MORE BYMakhdoom Khadim Safi

    sūrat meñ mere pyāre jo kuchh ki hai so hai

    hai dil meñ ye hamāre jo kuchh ki hai so hai

    hai 'ishq ne ye jalva ham ko tirā dikhāyā

    hosh-o-ḳhirad sudhāre jo kuchh ki hai so hai

    bachnā hai ghar meñ anhad ghaḌiyāl tarah se

    shām-o-sahar sakāre jo kuchh ki hai so hai

    ham ne rihā.ī paa.ī donoñ jahāñ se ai dil

    ab haiñ tire sahāre jo kuchh ki hai so hai

    parda uThā duī 'ḳhādim' ne tujh ko dekhā

    ham to haiñ ek pyāre jo kuchh ki hai so hai

    surat mein mere pyare jo kuchh ki hai so tu hai

    hai dil mein ye hamare jo kuchh ki hai so tu hai

    hai 'ishq ne ye jalwa hum ko tera dikhaya

    hosh-o-KHirad sudhaare jo kuchh ki hai so tu hai

    bachna hai ghar mein anhad ghaDiyal ki tarah se

    sham-o-sahar sakare jo kuchh ki hai so tu hai

    hum ne rihai pai donon jahan se ai dil

    ab hain tere sahaare jo kuchh ki hai so tu hai

    parda uTha dui ka 'KHadim' ne tujh ko dekha

    hum to hain ek pyare jo kuchh ki hai so tu hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now