dil ko mere ai saqi sarshaar kiya tune
dil ko mere ai saaqī sarshār kiyā tuune
jab dil ko lagā paayā inkār kiyā tuune
nāzoñ se adāoñ se ġhamzoñ se nigāhoñ se
mā'lūm huā mujh ko jo kaar kiyā tuune
avval bhī tū hī bolā ḳhud-e-qaul alast ākHir
qaalū balā ko kah ke iqrār kiyā tuune
mā'shūq mirā tū hai aur maiñ huuñ tirā 'āshiq
maḳhdūm safī ban kar iz.hār kiyā tuune
'āshiq haiñ mere ai gul kahne ko yuuñ to lākhoñ
'ḳhādim' ko magar mahv-e-dīdār kiyā tuune
dil ko mere ai saqi sarshaar kiya tune
jab dil ko laga paya inkar kiya tune
nazon se adaon se ghamzon se nigahon se
ma'lum hua mujh ko jo kar kiya tune
awwal bhi tu hi bola KHud-e-qaul alast aakHir
qalu bala ko kah ke iqrar kiya tune
ma'shuq mera tu hai aur main hun tera 'ashiq
maKHdum safi ban kar izhaar kiya tune
'ashiq hain mere ai gul kahne ko yun to lakhon
'KHadim' ko magar mahw-e-didar kiya tune
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.