Sufinama

man-o-tū kā hijāb uThne na de ai jān-e-yaktāī

Hafeez Hoshiarpuri

man-o-tū kā hijāb uThne na de ai jān-e-yaktāī

Hafeez Hoshiarpuri

MORE BYHafeez Hoshiarpuri

  man-o-tū hijāb uThne na de ai jān-e-yaktā.ī

  kahīñ aisā na ho ban jā.ūñ ḳhud apnā tamannā.ī

  vahī maiñ huuñ vahī hai tere ġham kār-farmā.ī

  kabhī tanhā.ī meñ mahfil kabhī mahfil meñ tanhā.ī

  ḳhalish-añgez hai vo ālam-e-jazb-o-gurez ab tak

  tirī achchhī burī har baat yuuñ to mujh ko yaad aa.ī

  qusūr-e-zarf samjhūñ sho.ūr-e-lazzat-andozī

  tire lutf-o-karam meñ tishnagī tishnagī paa.ī

  na chhoḌā dāman-e-hosh-o-ḳhirad dil ne mohabbat meñ

  sazā-e-dil hisār-e-āgahī qaid-e-tanhā.ī

  man-o-tū hijāb uThne na de ai jān-e-yaktāī

  kahīñ aisā na ho ban jāūñ ḳhud apnā tamannāī

  wahī maiñ huñ wahī hai tere ġham kār-farmāī

  kabhī tanhāī meñ mahfil kabhī mahfil meñ tanhāī

  ḳhalish-añgez hai wo ālam-e-jazb-o-gurez ab tak

  tirī achchhī burī har baat yuñ to mujh ko yaad aaī

  qusūr-e-zarf samjhūñ shoūr-e-lazzat-andozī

  tere lutf-o-karam meñ tishnagī tishnagī paī

  na chhoḌā dāman-e-hosh-o-ḳhirad dil ne mohabbat meñ

  sazā-e-dil hisār-e-āgahī qaid-e-tanhāī

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY