nazr-e-kHair-ul-bashar ho gai
nazr-e-kHair-ul-bashar ho ga.ī
ab nazar mo'atabar ho ga.ī
un ke mastoñ kī be-chārgī
dahr kī chāra-gar ho ga.ī
rahmateñ nigah-e-'āshiq pe haiñ
muntazir muntazir ho ga.ī
husn ko pyaar aa hī gayā
'āshiqī kār-gar ho ga.ī
zalzale kyā kahūñ 'ishq ke
'aql zer-o-zabar ho ga.ī
ho gayā fazl allāh kā
mustafā kī nazar ho ga.ī
vo 'farīdī' jidhar ko chale
mushk vo rahguzar ho ga.ī
nazr-e-kHair-ul-bashar ho gai
ab nazar mo'atabar ho gai
un ke maston ki be-chaargi
dahr ki chaara-gar ho gai
rahmaten nigah-e-'ashiq pe hain
muntazir muntazir ho gai
husn ko pyar aa hi gaya
'ashiqi kar-gar ho gai
zalzale kya kahun 'ishq ke
'aql zer-o-zabar ho gai
ho gaya fazl allah ka
mustafa ki nazar ho gai
wo 'faridi' jidhar ko chale
mushk wo rahguzar ho gai
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 92)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.