Sufinama

mera alam alam nahin meri KHushi KHushi nahin

Manzoor Aarfi

mera alam alam nahin meri KHushi KHushi nahin

Manzoor Aarfi

MORE BYManzoor Aarfi

    merā alam alam nahīñ merī ḳhushī ḳhushī nahīñ

    sāmne agar nahīñ zindagī zindagī nahīñ

    nāsehā aa.egā tujhe lutf na lutf-e-ḳhās

    terī nigāh meñ agar husn raushnī nahīñ

    aah na kar jigar jalā apnī nazar nazar banā

    chāra-e-dard-e-kHās hai 'ishq fusūñ-garī nahīñ

    khul na sake raaz kuchh tujh par kamāl-e-'ishq

    har-har nafs tujhe agar 'ishq meñ bekalī nahīñ

    dair pahuñch haram ko sar-ba-sujūd ho to kyā

    dil ko tire jo khoj hai khoj vo dil lagī nahīñ

    terā ḳhayāl terī yaad terī talab ba-qaid-e-hosh

    banda-e-'ishq ke liye khel hai bandagī nahīñ

    ham ne qubūl bār-hā dekh liyā parakh liyā

    daatā husn ke la.al par faiz kuchh kamī nahīñ

    mera alam alam nahin meri KHushi KHushi nahin

    samne tu agar nahin zindagi zindagi nahin

    naseha aaega tujhe lutf na lutf-e-KHas ka

    teri nigah mein agar husn ki raushni nahin

    aah na kar jigar jala apni nazar nazar bana

    chaara-e-dard-e-kHas hai 'ishq fusun-gari nahin

    khul na sake raaz kuchh tujh par kamal-e-'ishq ka

    har-har nafs tujhe agar 'ishq mein bekali nahin

    dair pahunch haram ko ja sar-ba-sujud ho to kya

    dil ko tere jo khoj hai khoj wo dil lagi nahin

    tera KHayal teri yaad teri talab ba-qaid-e-hosh

    banda-e-'ishq ke liye khel hai bandagi nahin

    hum ne qubul bar-ha dekh liya parakh liya

    data husn ke lal par faiz ki kuchh kami nahin

    Source :
    • Book : Kalaam-e-Manzoor Aarfi (Pg. 80)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now