mat pūchh tū jaane de ahwāl ko furqat ke
mat pūchh tū jaane de ahvāl ko furqat ke
jis taur kaTe kaaTe ayyām musībat ke
jī meñ hai dikhā diije yak roz tire qad ko
jo shaḳhs ki munkir haiñ ai yaar qayāmat ke
kahtā huuñ ġhalat tujh se maiñ dil ko chhuḌā.ūñgā
chhuTte haiñ kahīñ pyāre bāñdhe hue ulfat ke
qasr-o-mahal-e-mun.im tujh ko hī mubārak hoñ
baiThe haiñ ham āsūda goshe meñ qanā.at ke
bedār chhupā.e se chhupte haiñ koī tere
chehre se numāyāñ haiñ āsār mohabbat ke
mat pūchh tū jaane de ahwāl ko furqat ke
jis taur kaTe kaTe ayyām musībat ke
jī meñ hai dikhā dije yak roz tere qad ko
jo shaḳhs ki munkir haiñ ai yar qayāmat ke
kahtā huñ ġhalat tujh se maiñ dil ko chhuḌāūñgā
chhuTte haiñ kahīñ pyāre bāñdhe hue ulfat ke
qasr-o-mahal-e-munim tujh ko hī mubārak hoñ
baiThe haiñ hum āsūda goshe meñ qanāat ke
bedār chhupāe se chhupte haiñ koī tere
chehre se numāyāñ haiñ āsār mohabbat ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.