mat sata mujhko aan aan aziz
mat satā mujh ko aan aan aziiz
Tuk kahā bhī kisī kā maan aziiz
kyūñke dil us se pher luuñ nāseh
jis se rakhtā nahīñ huuñ jaan aziiz
yaañ hai ḳhvāhish ḳhadañg kī tere
na rakhe go ki vaañ kamān aziiz
dil idhar khīñchtā hai siina udhar
sab ko hotā hai mehmān aziiz
dil se ḳhādim huuñ maiñ 'bayāñ' un kā
jitne haiñ mere mehrbān aziiz
mat sata mujh ko aan aan aziz
Tuk kaha bhi kisi ka man aziz
kyunke dil us se pher lun naseh
jis se rakhta nahin hun jaan aziz
yan hai KHwahish KHadang ki tere
na rakhe go ki wan kaman aziz
dil idhar khinchta hai sina udhar
sab ko hota hai mehman aziz
dil se KHadim hun main 'bayan' un ka
jitne hain mere mehrban aziz
- Book : Diwan-e-Bayan Edited: Arjumand Ara (Pg. 98)
- Author : Ahsanullaah Khan Bayan
- Publication : Anjumat Taraqqi Urdu (Hind) New Delhi (2004)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.