Sufinama

samajhta hai dil-e-nadan ki maine kab kiya kuchh hai

Naiyar Kakorvi

samajhta hai dil-e-nadan ki maine kab kiya kuchh hai

Naiyar Kakorvi

MORE BYNaiyar Kakorvi

    samajhtā hai dil-e-nādāñ ki maiñ ne kab kiyā kuchh hai

    farishtoñ ne ḳhudā jaane kahāñ se likh diyā kuchh hai

    nigāh-e-nāz kahtī hai tirā dil kyā kareñ lekar

    na us meñ jaan baaqī hai na himmat hausla kuchh hai

    ḳhat-e-taqdīr tauba tauba kyā tahrīr-e-dushman hai

    ki har ik harf par dhokā hai kuchh likh gayā kuchh hai

    miTā fard merī dāvar-e-mahshar ne ye kah kar

    kareñ kyā shāfa-e-mahshar ne is par likh diyā kuchh hai

    vo aisī vaisī shai to muñh lagāte nahīñ 'nayyar'

    jinheñ jām-e-mai-e-ulfat chaskā paḌ gayā kuchh hai

    samajhta hai dil-e-nadan ki main ne kab kiya kuchh hai

    farishton ne KHuda jaane kahan se likh diya kuchh hai

    nigah-e-naz kahti hai tera dil kya karen lekar

    na us mein jaan baqi hai na himmat hausla kuchh hai

    KHat-e-taqdir tauba tauba kya tahrir-e-dushman hai

    ki har ek harf par dhoka hai kuchh ka likh gaya kuchh hai

    miTa di fard meri dawar-e-mahshar ne ye kah kar

    karen kya shafa-e-mahshar ne is par likh diya kuchh hai

    wo aisi waisi shai to munh lagate hi nahin 'nayyar'

    jinhen jam-e-mai-e-ulfat ka chaska paD gaya kuchh hai

    Source :
    • Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.V (Pg. 331)
    • Author : Irfan Abbasi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now