Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

muraqqa mein meri taswir par us shoKH ne likha

Naiyar Kakorvi

muraqqa mein meri taswir par us shoKH ne likha

Naiyar Kakorvi

muraqqa.a meñ mirī tasvīr par us shoḳh ne likhā

ab is bīmār sūrat bhī pahchānī nahīñ jaatī

bharī barsāt meñ tauba kareñ piine se ai vaa.iz

hamāre muñh koī baat bhī maanī nahīñ jaatī

tabī.at hichkichātī hai sunā hai jab se ai 'nayyar'

ki tauba karke muddat tak pashemānī nahīñ jaatī

muraqqa mein meri taswir par us shoKH ne likha

ab is bimar ki surat bhi pahchani nahin jati

bhari barsat mein tauba karen pine se ai waiz

hamare munh ki koi baat bhi mani nahin jati

tabiat hichkichati hai suna hai jab se ai 'nayyar'

ki tauba karke muddat tak pashemani nahin jati

Source :
  • Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.V (Pg. 331)
  • Author : Irfan Abbasi
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now