Sufinama

maut ki sun ke ḳhabar pyar jatane aae

maut sun ke ḳhabar pyaar jatāne aa.e

rūThe duniyā se jo ham yaar manāne aa.e

achchhe din aa.e to maiñ ne ye tamāsha dekhā

mere dushman bhī gale mujh ko lagāne aa.e

aaj mil kar mire dushman pata pūchhte haiñ

mujh se milne vo na milne ke bahāne aa.e

dard-o-ġham aur udāsī ke sivā kaun aatā

jin ko bhejā thā mire ghar meñ ḳhudā ne aa.e

phuul phuul khile jin badaulat ai dost

un ke hisse meñ na phūloñ ke ḳhazāne aa.e

edhī vāloñ ke sivā koī nahīñ thā us

log muflis janāza na uThāne aa.e

ro diye vo bhī mirī maut ke ba.ad ai 'purnam'

yaad jab merī vafāoñ ke fasāne aa.e

maut ki sun ke ḳhabar pyar jatane aae

ruThe duniya se jo hum yar manane aae

achchhe din aae to main ne ye tamasha dekha

mere dushman bhi gale mujh ko lagane aae

aaj mil kar mere dushman ka pata puchhte hain

mujh se milne wo na milne ke bahane aae

dard-o-gham aur udasi ke siwa kaun aata

jin ko bheja tha mere ghar mein KHuda ne aae

phul hi phul khile jin ki badaulat ai dost

un ke hisse mein na phulon ke KHazane aae

edhi walon ke siwa koi nahin tha us ka

log muflis ka janaza na uThane aae

ro diye wo bhi meri maut ke baad ai 'purnam'

yaad jab meri wafaon ke fasane aae

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now