maraz-e-ishq dil ko zor laga
maraz-e-ishq dil ko zor lagā
jāñ-ba-lab huuñ ḳhayāl-e-gor lagā
be-tarah kuchh ghulā hī jaatā hai
sham.a kī tarah dil ko chor lagā
tere mukhḌe ko yuuñ take hai dil
chāñd ke joñ rahe chakor lagā
dar-o-dīvār par har ek taraf
āñsuoñ se 'asar' ke shor lagā
maraz-e-ishq dil ko zor laga
jaan-ba-lab hun KHayal-e-gor laga
be-tarah kuchh ghula hi jata hai
shama ki tarah dil ko chor laga
tere mukhDe ko yun take hai dil
chand ke jon rahe chakor laga
dar-o-diwar par har ek taraf
aansuon se 'asar' ke shor laga
- Book : Diwan-e-Asar Edited: Kamil Quraishi (Pg. 192)
- Author : Mir Asar
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Hind) (1978)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.