kidhar ki KHushi kahan ki shadi
kidhar kī ḳhushī kahāñ kī shādī
jab dil se havas hī sab uḌā dī
tā haath lage na khoj dil kā
ayyār niiñ zulf hī uThā dī
pal mārte ḳhaak meñ milāyā
Tuk hañs ke jidhar nazar milā dī
yārab sivā liqā-e-vaj.hak
lā-maqsūdī va lā-murādī
dete ho kise ye bad-duā.eñ
kyā pyāre 'asar' ne phir duā dī
kidhar ki KHushi kahan ki shadi
jab dil se hawas hi sab uDa di
ta hath lage na khoj dil ka
ayyar nin zulf hi uTha di
pal marte KHak mein milaya
Tuk hans ke jidhar nazar mila di
yarab siwa liqa-e-wajhak
la-maqsudi wa la-muradi
dete ho kise ye bad-duaen
kya pyare 'asar' ne phir dua di
- Book : Diwan-e-Asar Edited: Kamil Quraishi (Pg. 237)
- Author : Mir Asar
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Hind) (1978)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.