kare kya ki dil bhi to majbur hai
kare kyā ki dil bhī to majbūr hai
zamīñ saḳht aur āsmāñ duur hai
tamnnā-e-dil ke liye jaan dī
salīqa hamārā bhī mash.hūr hai
sitam meñ hamārī qasam hai tumheñ
karo sarf jitnā ki maqdūr hai
dil apnā nihāyat hai nāzuk-mizāj
girā gar ye shīsha to bas chuur hai
kahīñ jo tasallī huā ho ye dil
vahī be-qarārī ba-dastūr hai
bahut sa'ī kījai to mar rahiye 'mīr'
bas apnā to itnā hī maqdūr hai
kare kya ki dil bhi to majbur hai
zamin saKHt aur aasman dur hai
tamnna-e-dil ke liye jaan di
saliqa hamara bhi mashhur hai
sitam mein hamari qasam hai tumhein
karo sarf jitna ki maqdur hai
dil apna nihayat hai nazuk-mizaj
gira gar ye shisha to bas chur hai
kahin jo tasalli hua ho ye dil
wahi be-qarari ba-dastur hai
bahut sa'i kijai to mar rahiye 'mir'
bas apna to itna hi maqdur hai
- Book : Asli Guldasta-e-Qawwali (Pg. 25)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.