Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

meri surat mein mera yar hai allah allah

Mardan Safi

meri surat mein mera yar hai allah allah

Mardan Safi

MORE BYMardan Safi

    merī sūrat meñ mirā yaar hai allāh allāh

    mere dil meñ mirā dildār hai allāh allāh

    kyā tasvīr banī hai ye ahā-hā-hā-hā

    is meñ aapī vo numūdār hai allāh allāh

    shakl-e-ādam ke sivā aur na bhāyā naqsha

    saare aalam meñ ye iz.hār hai allāh allāh

    merā jism aur mirī jaañ hai vahī jaañ bilkul

    maiñ kahūñ kyā ki maiñ huuñ yaar hai allāh allāh

    mastī-e-har-do-jahāñ hai dil-e-ādam se ayaañ

    yahī behosh to hushiyār hai allāh allāh

    jis ko nisbat ho payambar vahī ho āgāh

    merī bātoñ meñ jo asrār hai allāh allāh

    ḳhāka murshid huā maiñ to huā yaar ayaañ

    ye ajab faiz darbār hai allāh allāh

    qissa qarnoñ meñ na tai hotā vo dam-bhar meñ huā

    fazl-e-murshid ye iz.hār hai allāh allāh

    shah-e-'mardāñ' na koī aur na ḳhādim na 'safī'

    shakl-e-ahmad ye iz.hār hai allāh allāh

    meri surat mein mera yar hai allah allah

    mere dil mein mera dildar hai allah allah

    kya hi taswir bani hai ye aha-ha-ha-ha

    is mein aapi wo numudar hai allah allah

    shakl-e-adam ke siwa aur na bhaya naqsha

    sare aalam mein ye izhaar hai allah allah

    mera jism aur meri jaan hai wahi jaan bilkul

    main kahun kya ki main hun yar hai allah allah

    masti-e-har-do-jahan hai dil-e-adam se ayan

    yahi behosh to hushiyar hai allah allah

    jis ko nisbat ho payambar ki wahi ho aagah

    meri baaton mein jo asrar hai allah allah

    KHaka murshid ka hua main to hua yar ayan

    ye ajab faiz ka darbar hai allah allah

    qissa qarnon mein na tai hota wo dam-bhar mein hua

    fazl-e-murshid ka ye izhaar hai allah allah

    shah-e-'mardan' na koi aur na KHadim na 'safi'

    shakl-e-ahmad ka ye izhaar hai allah allah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now