kabhi puchha na ai sajan jo kya tujh par guzarti hai
kabhi puchha na ai sajan jo kya tujh par guzarti hai
Mira'n Shah Jalandhari
MORE BYMira'n Shah Jalandhari
kabhī pūchhā na ai sājan jo kyā tujh par guzartī hai
terī furqat se ai pyāre na jiitī hai na martī hai
na shab ko niiñd aatī hai na din ko chain hai mujh ko
jo miqrāz-e-mohabbat kī mere dil ko katartī hai
jalānā ḳhaak kar denā terī ye be-niyāzī hai
miyāñ jaano na jaano tum magar ye naaz kartī hai
sanam tere liye maiñ ne hazāroñ Thokareñ khā.īñ
nahīñ tujh bin kahīñ apnī tab.a aajiz Thahartī hai
rulānā muskurānā dil jalānā muñh chhipā lenā
burī qismat merī pyāre bhalā kyūñ-kar sañvartī hai
hasīnoñ kā kahīñ jamghaT jo ho merī balā jaane
nahīñ tujh bin parī par nazar merī Thahartī hai
nahīñ parvāh 'mīrāñ' shaah mujhe dozaḳh-o-jannat kī
va-lekin be-niyāzī se tabī.at merī Dartī hai
kabhi puchha na ai sajan jo kya tujh par guzarti hai
teri furqat se ai pyare na jiti hai na marti hai
na shab ko nind aati hai na din ko chain hai mujh ko
jo miqraaz-e-mohabbat ki mere dil ko katarti hai
jalana KHak kar dena teri ye be-niyazi hai
miyan jaano na jaano tum magar ye naz karti hai
sanam tere liye main ne hazaron Thokaren khain
nahin tujh bin kahin apni taba aajiz Thaharti hai
rulana muskurana dil jalana munh chhipa lena
buri qismat meri pyare bhala kyun-kar sanwarti hai
hasinon ka kahin jamghaT jo ho meri bala jaane
nahin tujh bin pari par nazar meri Thahartī hai
nahin parwah 'miran' shah mujhe dozaKH-o-jannat ki
wa-lekin be-niyazi se tabiat meri Darti hai
- Book : Guldasta-e-meeran Shah (Pg. 17)
- Author : Meeran Shan Jalandhari
- Publication : Hameedia Steam Press Lahore
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.