meri guzarish-e-adna ko sun liya hota
mirī guzārish-e-adnā ko sun liyā hotā
mujhe bhī ḳhāk-nashīnoñ meñ chun liyā hotā
zabāñ pe aa na sakīñ ’arziyāñ mire dil kī
tū ḳhud 'alīm hai tū ne hī sun liyā hotā
sabhī khzāne luTā.e haiñ ahl-e-sarvat par
kisī ġharīb sī bastī ko chun liyā hotā
maiñ ḳhaak ban ke usī pal bikhar ga.ī hotī
tirī nidā ko agar aap sun liyā hotā
pahuñch ke manzil-e-maqsūd maḳhmase meñ huuñ
jo raah chhoḌī thī gar us ko chun liyā hotā
meri guzarish-e-adna ko sun liya hota
mujhe bhi KHak-nashinon mein chun liya hota
zaban pe aa na sakin ’arziyan mere dil ki
tu KHud 'alim hai tu ne hi sun liya hota
sabhi khzane luTae hain ahl-e-sarwat par
kisi gharib si basti ko chun liya hota
main KHak ban ke usi pal bikhar gai hoti
teri nida ko agar aap sun liya hota
pahunch ke manzil-e-maqsud maKHmase mein hun
jo rah chhoDi thi gar us ko chun liya hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.