meri ruh tu hai meri jaan tu hai
mirī ruuh tū hai mirī jaan tū hai
mare marne jiine kā sāmān tū hai
mirā diin tū merā īmān tū hai
marī jaan jis par hai qurbān to hai
agar tujh ko jaanā to maiñ ne hī jaanā
par ai dost is par bhī anjān tū hai
nahīñ'' hai kisī shai kī mujh ko tamannā
magar haañ mare dil kā armān tū hai
tirī shaan har rose hai ik nirālī
nayā jalva tū hai na.ī shaan tū hai
tū ḳhud ā.īna hai tū ḳhud ā.īna-bīñ
tamāsha ye hai aap hairān to hai
jise DhūñDhtā phir rahā hai to 'akbar'
mere yaar shakl apnī pahchān tū hai
meri ruh tu hai meri jaan tu hai
mare marne jine ka saman tu hai
mera din tu mera iman tu hai
mari jaan jis par hai qurban to hai
agar tujh ko jaana to main ne hi jaana
par ai dost is par bhi anjaan tu hai
nahin hai kisi shai ki mujh ko tamanna
magar han mare dil ka arman tu hai
teri shan har rose hai ek nirali
naya jalwa tu hai nai shan tu hai
tu KHud aaina hai tu KHud aaina-bin
tamasha ye hai aap hairan to hai
jise DhunDhta phir raha hai to 'akbar'
mere yar shakl apni pahchan tu hai
- Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 136)
- Author : Sha Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.