Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

miTaen sabr dil se sabr ki talqin farmaen

Zaheen Shah Taji

miTaen sabr dil se sabr ki talqin farmaen

Zaheen Shah Taji

MORE BYZaheen Shah Taji

    miTā.eñ sabr dil se sabr talqīn farmā.eñ

    sukūn-e-dil vahī chhīneñ vahī taskīn farmā.eñ

    mohabbat meñ zabūñ-hālī vo taz.īn farmā.eñ

    vo ġham deñ zabt-e-ġham daad deñ tahsīn farmā.eñ

    majāz-e-ishq dushvāriyāñ shāyad haqīqī haiñ

    vo sun sun kar duā.eñ varna kyuuñ āmīn farmā.eñ

    sukūn-e-husn jaane iztirār-e-’ishq kyā shai hai

    talavvun kyā hai us ko sāhab-e-tamkīn farmā.eñ

    'zahīn' is meñ ḳhud un ke husn-e-kāmil ihānat hai

    bhalā vo aur mere ’ishq tauhīn farmā.eñ

    miTaen sabr dil se sabr ki talqin farmaen

    sukun-e-dil wahi chhinen wahi taskin farmaen

    mohabbat mein zabun-haali ki wo tazin farmaen

    wo gham den zabt-e-gham ki dad den tahsin farmaen

    majaz-e-ishq ki dushwariyan shayad haqiqi hain

    wo sun sun kar duaen warna kyun aamin farmaen

    sukun-e-husn jaane iztirar-e-’ishq kya shai hai

    talawwun kya hai us ko sahab-e-tamkin farmaen

    'zahin' is mein KHud un ke husn-e-kaamil ki ihanat hai

    bhala wo aur mere ’ishq ki tauhin farmaen

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now