gosha-e-chashm mein ashk-e-dar nayab liye
gosha-e-chashm meñ ashk-e-dar nāyāb liye
sāz-e-ḳhāmosh pe baiThe haiñ ye mizrāb liye
hai koī mahv-e-taḳhayyul pa.e sahn-e-gulshan
mast āñkhoñ meñ javānī ke hasīñ ḳhvāb liye
hai subuk-rau to har ik mauj-e-tabassum lekin
apne dāman meñ ye qatra bhī hai sailāb liye
mā.il-e-dā’vat-e-nazzāra har ik mast-e-ḳhirām
suñbuleñ zulf meñ sau halqa-e-gardāb liye
muzda ai zamzama sanjān-e-surūr-o-mastī
sāġhar-e-chashm hai phir aaj mai-e-nāb liye
muddatoñ qais ko phirtā rahā sahrā-sahrā
pā-piyāda tan-e-tanhā dil-e-betāb liye
phir tirī bazm meñ hotā hai gul-afshāñ 'shādāb'
dil meñ zaḳhmoñ ke shagufta gul-e-shādāb liye
gosha-e-chashm mein ashk-e-dar nayab liye
saz-e-KHamosh pe baiThe hain ye mizrab liye
hai koi mahw-e-taKHayyul pae sahn-e-gulshan
mast aankhon mein jawani ke hasin KHwab liye
hai subuk-rau to har ek mauj-e-tabassum lekin
apne daman mein ye qatra bhi hai sailab liye
mail-e-da’wat-e-nazzara har ek mast-e-KHiram
sunbulen zulf mein sau halqa-e-gardab liye
muzda ai zamzama sanjaan-e-surur-o-masti
saghar-e-chashm hai phir aaj mai-e-nab liye
muddaton qais ko phirta raha sahra-sahra
pa-piyaada tan-e-tanha dil-e-betab liye
phir teri bazm mein hota hai gul-afshan 'shadab'
dil mein zaKHmon ke shagufta gul-e-shadab liye
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.IX (Pg. 164)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.