husn ka tere mumasil yad-e-baiza kya hai
husn kā tere mumāsil yad-e-baizā kyā hai
jumbish-e-lab ke muqābil dam-e-īsā kyā hai
ūñchī nīchī hai nazar un kī uruuj aur zavāl
aan meñ zer-o-zabar hai dil-e-shaidā kyā hai
nāzukī-e-rag-e-gul dekh ke bulbul ne kahā
āshiq-e-gul haiñ hameñ ḳhaar kā khaTkā kyā hai
husn ka tere mumasil yad-e-baiza kya hai
jumbish-e-lab ke muqabil dam-e-isa kya hai
unchi nichi hai nazar un ki uruj aur zawal
aan mein zer-o-zabar hai dil-e-shaida kya hai
nazuki-e-rag-e-gul dekh ke bulbul ne kaha
aashiq-e-gul hain hamein KHar ka khaTka kya hai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.V (Pg. 41)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.