tu hai tera KHayal hai aur waqt jaan-kani
tū hai tirā ḳhayāl hai aur vaqt jāñ-kanī
tasvīr terī saath liye jā rahā huuñ maiñ
bāhar hai tāb-e-zabt se ab dāstāñ mirī
vo daaġh apne dil pe liye jā rahā huuñ meñ
har harf-e-guftugū dab-e-lihjā kī har adā
vallāh dil pe naqsh ka.e jā rahā huuñ maiñ
tu hai tera KHayal hai aur waqt jaan-kani
taswir teri sath liye ja raha hun main
bahar hai tab-e-zabt se ab dastan meri
wo dagh apne dil pe liye ja raha hun mein
har harf-e-guftugu dab-e-lihja ki har ada
wallah dil pe naqsh kae ja raha hun main
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.V (Pg. 41)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.