kisi ke gham mein marna zinda-e-jawed hona hai
kisī ke ġham meñ marnā zinda-e-jāved honā hai
ajal mujh ko hayāt-e-jāvedāñ ma.alūm hotī hai
tirī maḳhmūr chashme mai-kada hai jām-o-mīnā kā
nazar kyā hai sharāb-e-arġhavāñ ma.alūm hotī hai
mirā husn-e-takallum kuchh ajab 'irshād' karatā hai
zabāñ merī adab kī tarjumāñ ma.alūm hotī hai
kisi ke gham mein marna zinda-e-jawed hona hai
ajal mujh ko hayat-e-jawedan malum hoti hai
teri maKHmur chashme mai-kada hai jam-o-mina ka
nazar kya hai sharab-e-arghawan malum hoti hai
mera husn-e-takallum kuchh ajab 'irshad' karata hai
zaban meri adab ki tarjuman malum hoti hai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.V (Pg. 41)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.