nahin kuchh hai wahi sab se siwa hai
nahīñ kuchh hai vahī sab se sivā hai
ujūd-e-mā-sivā mahz-e-fanā hai
jo dekhā chashm-e-dil se parda uTThā
haqīqat meñ vahī jalva-numā hai
na pūchho zāhidoñ kī ḳhushk bāteñ
mohabbat hī to rāz-e-kibriyā hai
na dekhā kā'ba par dil ko TaTolā
vahīñ paayā jahāñ zikr-e-ḳhudā hai
maiñ us kī raah meñ ḳhud ko miTā duuñ
yahī to dars-e-ahl-e-auliyā hai
mohabbat meñ na baaqī maiñ rahā kuchh
ye 'amjad' sirf us kā ā.īna hai
nahin kuchh hai wahi sab se siwa hai
ujud-e-ma-siwa mahz-e-fana hai
jo dekha chashm-e-dil se parda uTTha
haqiqat mein wahi jalwa-numa hai
na puchho zahidon ki KHushk baaten
mohabbat hi to raaz-e-kibriya hai
na dekha ka'ba par dil ko TaTola
wahin paya jahan zikr-e-KHuda hai
main us ki rah mein KHud ko miTa dun
yahi to dars-e-ahl-e-auliya hai
mohabbat mein na baqi main raha kuchh
ye 'amjad' sirf us ka aaina hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.